Thursday 8 January 2015

RaYa OS Tum Dena Saath Mera Part 2


 Hello Friends Hop you Like This OS

Click Here For Part 1

Part 2

The men became busy with the preparations, lekin Ram ke mann me kai saare sawaal uth rahe hain, aisa nahi hain ke usse Priya pasand nahi hain, actually yahan pasand na-pasand ka sawaal hi nahi uthta hain, Priya ko woh bachhpann se janta hain, achhi ladki hain, uske gharwalen bhi sab Priya se pyaar karte hain, lekin Ram yeh shaadi nahi kar sakta, Sanjana ko abhi tak usne bhula nahi paaya hain, thinking of her, he came to the window and gazed outside. Sab shaadi ke preparations me jut gaye hain, Sudhirji is looking relieved, Karthik is smiling, yahan tak ki his dad is also looking after the arrangements, Rishabh is full on with energy, Ram kept looking at his family without blinking, they are HAPPY with this relation, suddenly he felt a hand on his shoulder, he turned and saw dadi is standing there,


Dadi - Ram, main janti hoon beta tujhe mera yun achanak rishte ki baat karna achha nahi laga hoga, lekin beta mujhe aur koi raasta nazaar nahi aa raha tha, meri gudiya tut gayi hain, main usse aise nahi dekh sakti, main janti hoon agar usse koi samhal sakta hain toh tu hi hain, bol samhalega na meri gudiya ko, usse woh har khushi dena jo uska hain, tu saath dega na uska, uske damaan me koi aanch nahi aayega, tu rahega na zindagi bhar uske saath?





Ram - dadi yeh jante huye bhi ke main Sanjana se...


Dadi - woh tera ateet tha beta, aur Priya teri aaj hain, haqeeqat hain. Jo ladki pyaar ki keemat ko nahi samajhta hain woh kaise kisi aur cheez ki kadr karegi? Tu ne apna pyaar khoya hain isi liye tu hi samajhega ke apne pyaar ko khona kya hota hain, Priya ne Deep ko nahi balki apni zindagi khoyi hain, tujhe usse wahi zindagi lautani hogi, main janti hoon tu yeh kar payega, bolt u karega na?


Ram - main koshish karunga dadi ke main Priya ko phir se nayi zindagi de saku.


Dadi took Ram in her hig and blessed him, bohot khush reh mere bachhe, main babaji se yehi dua karti hoon ke tum dono ke zindagi me khushiyaan hi khushiyaan ho.


Ram - dadi, kya Priya raazi hain iss rishte se?


Dadi - beta, ek aurat jab kisiko apna maan leti hain phir kisi aur ko woh jagah de nahi pati hain, Priya ne Deep ko apna sab kuch mana hain, woh ab aisi halat me nahi hain ke kuch soche, ya bole, lekin usse yun aise harte huye main nahi dekh payungi, lekin iske ilava koi chhara bhi nahi hain.



Madhaniyan                                                                                                   Hai o Mereya Daadeya Rabba
Kinna Jammiyan Kinna Ne Le Jaaniya
Haiyo Mereya Daadeya Rabba
Kinna Jammiyan Kinna Ne Le Jaaniya
Loyi - Babul Tere Mehlan Vicho
Teri Lado Pardesan Hoi Hai
Babul Tere Mehlan Vicho
Teri Lado Pardesan Hoi Hai


Panditji called the bride and groom for the jaimala rasam. Ram was already there wearing the pagdi, he was wearing beige colour sherwani with light chocolate colour chudidaar, looking utterly suave and handsome. Esha along with Natasha and Shipraji made Priya came down in the mandap. Ram looked at her and saw the pain in her eyes, he too can felt the pain of her, pehela pyaar ko khone ka gham kya hain yeh Ram se behtar koi nahi samajh sakta. Priya came and jaimala rasam started. Ram put the jaimala to her and Priya like a puppet put her one on him, she wasn't even looking at him, in fact Priya isn't looking at anyone, uski aankhen kahin bohot dur hain, maano jaise kahin aur woh kuch dekh rahi hain.

Chhole Chhole Chhole - Babul Tere Mehlan Vicho
Satrangiya Kabootar Bole-Hai
Babul Tere Mehlan Vicho
Satrangiya Kabootar Bole-Hai


Dadi took Priya's hand and placed it in Ram's hand and said, aaj se tum dono ek dusre ke sahare banna, kabhi bhi ek dusre ka saath mat chhodna. Panditji asked the bride and groom to take their place as the marriage needs to start.

Mehndi... Mehndi Mehndi Mehndi - Lagdi Suhagana Nu
Nai Marde Dama Tak Laindi
Lagdi Suhagana Nu
Nai Marde Dama Tak Laindi

Haavan ki pavitra agni ko saakshi maan ke Ram aur Priya ek dusre ke saath jeevan beetane ki kasam le rahe the, saat phero me saat vachan jo inn dono ko ek atoot rishten me bandh rahe the. Zindagi bhar saath nibhane ka faisla bohot bada faisla hota hain, Deep ne bhi kiya tha yeh waada lekin usne Priya ko akela chhor diya, apna waada tod diya, aur ab Priya kisi aur ki banne jaa rahi hain, yeh kaisa mazaak zindagi ne uske saath kiya hain?, panditji ke kehne par Priya samne aayi aur baaki ke phere huye, jo haath koi aur thamne ka waada kiya tha wahi haath aaj kisi aur ne thama hain, pheron ke waqt Ram ne Priya ka haath thama hain aur isi wachan ke saath thama hain ke zindagi bhar ab yeh saath aur haath dono nahi chhutenge.
Choodiyan Choodiyan Choodiyan Choodiyan Choodiyan - Saure Ghar Jaan Waliye
Shaala Hon Muradaan Puriyan Hoi
Saure Ghar Jaan Waliye
Shaala Hon Muradaan Puriyan Hoi
Saure Ghar Jaan Waliye
Shaala Hon Muradaan Puriyan Hoi


Jab Ram ne Priya ki maang bhar raha tha toh Priya bilkul khamosh ho gayi thi, jiski sindoor ki usse aas thi uske naam ka sindoor ab sari zindagi nahi pehen payegi woh, yeh haathon ki mehendi me bhale hi uska naam ho par uski haathon ki rekhao me ab kisi aur ka naam jud gaya hain. Panditji gave mangalsutram to Ram and he put that on Priya's neck, and he pronounced them as man and wife. Priya shed a painful tear, uske haathon se uska pyaar chhuth gaya, uska Deep usse hamesha hamesha ke liye dur ho gaya, she stared at the sky and saw Deep looking at her and smiling, Priya couldn't control herself and cried. Everyone was busy congratulating each other while Ram and Priya were still sitting on the mandap, Ram saw Priya crying and immediately he felt the tug in his heart.



They both took the blessings from elders and Sudhirji requested that if both of them can stay tonight in this house, actually they wanted her bidaai on the next morning.



Dadi - bidaai kal hi hogi Sudhir, aaj raat yeh dono yehi rahenge.



After the wedding all sat for the dinner, though everyone was happy but somewhere they all know that Priya need some time to adjust with all these, specially Ram knows this, itna asaan nahi hoga sab kuch. He sighed and said to himself, Priya I will try to make you happy though I know it will not be very easy for you to forget Deep, par main hoon tumhare saath aur mujhe bharosa hain ke hum dono iss mushkil daud se bhi guzar jayenge.



Both Ram and Priya are in the room. Kehte hain yeh raat sabki zindagi me ek baar ata hi hain, sabse khoobsurat aur haseen raat hain do pyaar karnewalon ke liye jise zindagine ek atoot rishten me bandh diya hain, lekin yeh suhaag ki raat Ram aur Priya ke zindagi me sirf ek kaali andheri raat bann ke aayi hain, suhaag ki sej toh saaji hain par rishten ulajh gaye hain, na chahte huye bhi ek anchahi rishton me dono ko bandh diya gaya hain. Priya was sitting on the bed when Ram came out from the washroom. He saw Priya sitting in same posture; he came and sits in front of her in the bed. For moments he kept looking at her, Priya was sitting there, hugging her knees and looking in front, uski aankhon me sirf ek khaalipan nazaar aa raha tha. Ram tried to console her by touching but he refrained from doing that, he said


Ram - Priya kaafi raat ho gayi hain tum so jao


Priya - Deep ne khana khaya hain ya nahi?, mujhe usse ek baar baat karni hain, mera phone kahan hain?


Ram was startled to hear her, Priya was searching her phone, when Ram stopped her.


Ram - Priya, calm down, just calm down


Priya - Deep hamesha bohot late se apna dinner karta hain, kitni baar kahan hain usse, baat hi nahi suntan hain mera, mujhe usse phone karke poochna parega, mera phone kahan hain, saying this she started searching for her phone in the room.


Ram jerked her and made her stop and said Priya, Deep ab nahi raha hain, woh chala gaya hum sab ko chhod ke, tumhe chhod ke.


Hearing him Priya said kyun jhooth bol rahe ho, main janti hoon woh mujhe chhod ke nahi jaa sakta hain, usne wadaa kiya hain mujhse, tum jhooth bol rahe ho, she became hysterical and started hitting him in his hand, but Ram took her in his tight embrace and tried to console her, after some futile attempts Priya breaks down and clasp the collar of his sherwani and cried, her incessant sobs made Ram feel more closer to her as he has also gone through same situation though he didn't loose his love in death but still loosing your love is one of the biggest punishment one can get in life. Priya was still sobbing in his embrace, Ram caressed her hair as he kept standing.


It was almost in the wee hours of morning, Priya was sleeping in Ram's embrace on the bed, her cheeks bearing the stains of her tears, Ram has securedly kept her in his embrace, Priya is looking like a child whose most precious toy has been taken away from her. Ram once again looked at her, and then closed his eyes, he was resting his head on headrest, and he was sitting whole night resting his back on the backrest of the bed with Priya in his embrace. Badi mushkil se Priya ko neend aayi hain, Ram has taken care of her, he tried to make her sleep. The entire night Ram didn't sleep, kahin Priya phir se na jaag jaye, he sat beside her and kept caressing her hair, though he kept his eyes closed but kept looking at her every other time.


Zindagi bhi kitni ajeeb khel khelti hain sab ke saath, Ram kept thinking about his life and that of Priya and her family. Bachpann se hi Ram ne inn do pariwar me pyaar aur apnapan dekha hain. Apne papa aur chachaji ke beech dosti aur izzatwala rishta dekha hain, uski dadi chachaji ko apna dusra beta maanti hain. Dadaji ke guzaar jaane ke baad Amarnathji Delhi shift ho gaye, tab Ram 10 saal ka tha, lekin chhuttiyon me hamesha woh log Amritsar aate the, dadi yahi reh gayi thi toh har saal Amritsar aana laga hi rehta tha. Ram being elder to this house aur dada-dadi ki favourite toh he was also very eager to come in his holidays. School me jab bhi vacations milti thi, Ram bhaag ke yahaan aa jata tha, ek toh dadi hain, upar se yahan koi roktok nahi tha aur Karthik ki dosti, yeh teen milake Ram ko aur kuch nahi chahiye hota tha. Chachiji ke liye Ram, Karthik se kam nahi tha, jab bhi yeh dono ek hote the toh shaitaani aur masti maano jaise ek hi sikke ke do pehelu hain. Priya jab paida huyi tab sab bohot khush huye the. Ram ko shuru se hi ek behen chahiye thi lekin tab tak Rishabh ho gaya tha, jab Rishabh paida honewala tha tab Karthik aur Ram dono hi chahte the ke unka ek behen ho lekin hua nahi toh jab Priya huyi dono ko badi khushi huyi. Jab Shipraji Priya ko leke hokspital se wapaas aayi tab Karthik ne Ram ko usse haath lagane se mana kiya, aur kahan ke yeh sirf uska behen hain, iss baat pe dono me bohot ladai huyi yahan tak ki yeh dono ek haafte tak ek dusre se baat bhi nahi kiye. Uske baad Natasha aayi aur Ram ko apna behen mil gaya. Bade hone ke baad jab Priya ne Ram ko apna bhai bulane se inkaar kiya toh sabne usse samjhaya lekin woh apne zid pe aari rahi ke woh Karthik ke ilava aur kisi ko apna bhai nahi manegi, Ram se bhi uska jhagda hua, Ram ne usse bohot sataya lekin woh nahi maani, kya wahi ishara tha babaji ka ke ek din Ram aur Priya aise milenge jeevan me, kya isi liye woh rishta kabhi bana hi nahi, thinking such Ram again glanced on Priya and saw she is sleeping peacefully.


Amritsar se jaane ke baad bhi un logon ki dosti aur yaari nahi chhooti, they keep coming back in vacations and holidays and their growing friendship became more strong. Umaar ke saath saath na Ram aur nahi Priya ne apne rishten ke bare me socha, na woh log dost the aur nahi ek dusre ko bhaibehen maante the, bas ek ajeeb sa rishta tha unn dono ka, bado ne bhi kuch kahan nahi aur usi aankahee rishton me yeh dono ek dusre ke saath nibhate chale gaye, lekin jo bhi tha inn dono me ladai kabhi band nahi huyi, yeh dono baatein kam ladte zyada the, baat baat par yeh dono apne hi baat manwane ke liye khare ho jaate the.


Ram jab London se wapaas aya apni Masters complete kar ke tab Priya just joined her junior college, she was a good student and was a total tomboy in her attitude. Apne moholle ke bachhon ke saath cricket khelna, din raat masti karna, in fact they had a team who do all kinds of mischeviousness and mastis. Unn logon ke liye Priya was ultimate idol, har koi apni Priya di ke liye kuch bhi kar sakta hain. Ram used to tease them and he loved to irritate Priya by tugging her long hairs, jo Priya ko bilkul nahi pasand tha. Ram ko bada mazaa ata tha usse aise chhedne me, Priya bhi kahan chhodti thi, woh bhi Ram ko bada satati thi, inn dono ki cute nok jhonk dekhne me sabko bada mazaa ata tha, dadi in fact once thought RaYa relation lekin baat kabhi chheri hi nahi aur unhone bhi iss baat ka zikr nahi kiya. Phir iske baad Priya ko Deep se pyaar ho gaya aur Ram jaake London me bas gaya, aur Sanjana aa gayi uske life me. Sanjana ka khayal aate hi Ram opened his eyes and looked at his side, Priya was still sleeping, Ram once again kept his hand on her head. He didn't want to remember her but she has been his life, though she is no more part of his life but still somewhere deep down she is still with him.      


Bidaai ka waqt ho gaya hain, Rishabh, Natasha and Amarnathji came to take the bride and groom. Esha was making Priya prepare for bidaai, while making her she can't stop her tears, uski dost jo kabhi kisi function ki jaan hua karti thi, jo ghar ki raunaq thi, jiski haansi se sara ghar khil uthta tha, aaj khud ki bidaai pe bejaan beythi hain, kitne saare armaan the uske apni shaadi ko leke, Deep ke saath ek nayi duniya shuru karne ki soch me hi woh khil jati thi, raat din bas Deep ke bare me hi sochti thi, ek din ya ek pal aisa nahi guzari hogi usne jisme uske saath Deep na ho aur aaj jab woh apni nayi duniya me kadam rakhh rahi hain toh uske saath uska Deep nahi hain, thinking about this Esha wiped her tears and tried to smile for her best friend.



Banno re banno meri chali saasural ko

Aankhiyon me paani de gayi

Dua me meethi gud dhani le gayi

Re kabira maan ja re fakira yun na ja

Aaja tujhko pukare teri parchhaiya

Re kabira maan ja fakira yun na ja

Kaisa tu hain nirmohi kaisa harjaiyaan


Esha brought Priya down, she was still not in her usual sense, seeing her, Shipraji came to her and took her in her hug, maa hain na toh sabse zyada taqleef unhe hi ho rahi thi, jis halaat me Priya ki shaadi huyi hain aur jo uske saath guzri hain woh maa hoke yeh bardaasht nahi kar payi, hala ki Ram ko damaad ke roop me paake woh bohot khush hain, janti hain Ram uski gudiyan ko bohot khush rakhhega. She came out from the hug and said,


Shipraji - beta, ab Ram hi tera sab kuch hain, dekhna woh tujhe kisi ki kaami mehsoos hone nahi dega, uska aur apna dono ka khayaal rakhhna, saying this she started shedding her tears. Esha came and placed her hand on her shoulder, Shipraji took her hand in her and in one arm securedly embraced Priya.


Karthik took the hands of Priya and kept that on Ram's palm and said,


Karthik - aaj se meri behen teri huyi, isse kabhi dukh mat dena, agar koi bhool ho jaye toh samjha dena lekin iska haath kabhi chhodna nahi.


Ram - tujhe yeh sab bolne ki zaroorat nahi hain, tu na bhi bolega toh bhi main Priya ka saath nahi chhorunga, aaj se yeh meri responsibility hain, I promise.


Karthik hugged Ram tightly and said in his ears agar ho sake toh Deep ki yaad uske dil se mita dena, janta hoon bohot mushkil hoga lekin agar yeh koi kar sakta hain toh sirf tu, meri behen ko ek nayi zindagi dena yaar, usse uski khushi lauta dena.


Ram hugged him tightly and said main waada karta hoon tujhse ke main Priya ki haansi phir se wapaas layunga, saying this they both break their hug.


Sudhirji was watching is gudiya who seems to be in some other world, when she came to him, the father took his doll in his tight embrace. Priya ne abhi tak ek baar bhi kuch kahan nahi aur nahi aansoo bahaye hain jaise maano uski saare aansoo sukh gaye hain, but when Sudhirji hugged her, her tears welled up and she embraced her father tightly and uttered "papa". Hearing her all became emotional, uss ek pukaar me itna dard tha ke sabke aankhon me aansoo aa gaye.



Tuti char payi wahi thandi purawahi raasta dekhe

Dudhon ki malai wahi mitti ki surahi raasta dekhe

Gudiya ri gudiya tera gudda pardesiyan

Jodi aasmani hogayi shagun pe dekho shaadmani ho gayi

Re kabira maan ja re fakira yun na ja

Aaja tujhko pukare teri parchhaiyaan

Re kabira maan ja re fakira yun na ja

Kaisa tu hain nirmohi kaisa harjaiyaan



Bachhpann se jis ghar ke aangan me pali badi huyi hain, jiske godi me sarr rakhh ke soyi hain, jiski ek muskaan ke liye sabne koshish ki aaj wahi yeh aangan aur ghar chhod ke jaa rahi hain, kyun betiyaan parayi hoti hain?, kyun itni jaldi badi ho jati hain?, kyun ek maa jo apni hi parchhai ko vidaa karte waqt yeh dua deti hain ke woh kisi aur ki sayaa bane, usse hamesha khush rakkhe?, kyun ek beti ki janam se hi uski vidaai ki ghadi ka intezaar rehta hain maa-baap ko?, ek beti hi hain jo apne saankar aur apni darohar leke jaati hain aur apna ek naya ashiyaan banati hain.


Ram aur Priya ki grihapravesh bohot saade tareeke se hota hain, sab jante hain kin haalat me shaadi huyi hain aur Priya pe kya guzri hain lekin reet bhi toh nibhani padti hain toh dadi ke kehne par zyada shorsharaba na karte huye sadgi se sab rasm kiya gaya hain. Ab iske baad everyone geared up for going back to Delhi, aaj hi evening ki flight hain and within one week Ram is going back to London so everything has to be ready within that. In the room Ram was packing his stuff for going back to Delhi, Priya came out from bathroom, she had her shower and was wearing a red colour salwaar kameez, was looking very pretty with chuda and mangalsutra and sindoor, her hair was open, for moments Ram kept looking at her, Priya ko woh peheli baar aisa dekh raha hain, lekin uski aankhon ka dard uske chehre par saaf saaf dikhayi de raha hain.


Ram - Priya, tum bhi apna packing karlo, agar koi help chahiye to mujhe keh sakti ho


Priya ka sab samaan aa gaya tha, and they were all neatly packed, bas thodi bohot cheez hain jo usse pack karni hain, so she looked for a bag, when Ram said,


Ram - tum ek kaam karo, jo bhi baki hain you can keep those in my bag.


After completing the packing, they all sat for lunch. In the evening, everyone came in the airport, for last time Shipraji hugged her, so as Esha, Priya wasn't behaving hysterical but wasn't either talking to anyone, bas jab bhi Ram kuch pooch raha tha ya keh raha tha woh sunn rahi thi, aur jawaab de rahi thi.


Kapoors came back in Delhi. Ab itni badi news hain Amarnath Kapoor's son Ram Kapoor ki shaadi huyi hain toh zahir si baat hain media me yeh news kaafi hulchal machaya hain lekin Kapoors didn't make this an issue, in fact from their side there was a press conference where Ram and Amarnath Kapoor attended the press and it was over by that. For next one week Ram had to made all the arrangements, from Visa to passport, everything, though he was reluctant first that Priya will come with him to London, actually he wanted her to settle here with her family, but dadi asked him to take her along with him.


Dadi - Ram, abhi Priya ko teri zaroorat hain aur waise bhi yahan rahegi toh beeti baatein yaad karti rahegi aur uss sadme se kabhi bhi bahaar nahi aa payegi aur main nahi chahti aisa ho, isse achha hain tu usse apne saath hi le jaa, wahaan naye mahol me, naye logon me usse achha lagega, aur phir tu bhi toh hoga uske saath, tum dono ek nayi zindagi shuru karo wahaan, babaji ka meher tum dono pe hamesha rahe.


Finally today Ram and Priya going to London, raat ki flight hain, though Ram asked everyone not to come in the airport but no one has listened to him. Natasha and Rishabh were always by Priya's side in this whole week. Krishnaji kept looking at her every way, all tried to give Priya space as well as love, all actually are very happy to have her as bhabhi and daughter-in-law of this house. With the final call, Ram and Priya both took the blessings from their elders, Krishnaji choked when she blessed her and said


Krishnaji - Ram, ab yeh teri zimmedari hain meri Priya ka khayal rakhne ka, isse koi taqleef huyi toh main woh bardaasht nahin karungi.


Amarnathji took his wife in his side hug and said smilingly Mrs. Kapoor, don't worry hamara beta hamein koi bhi shikayat ka mauka nahi dega


Ram smiled and said I promise ma main Priya ka pura khayal rakhunga


Natasha and Rishabh both hugged her and she too reciprocated them. Ram and Priya went out.


to be continued.....

Guyz Plz comment Below it encourge to write more



 Author
Jineejiggs

1 comment:

Unknown said...

Awesome update...
Pls continue soon..

Post a Comment